Mere shabd ro pade
Dekh ke jalimo khauf
Dard dukh dete h Q humko
Kya Zindgi hi h unke liye wahi
Dusro ki jholi me dukh dena?
Unn bachho ki bebasi nhi suni
Kya unho ki hasi hi khal rhi thi
Zalimo ki zindgi h aisi
joh Haste huye parido ki
Pankh kat dena.....
Khare dil se sharrdhajli arpit unn bacho k liye
joh khauf me ladte ladte shid huye
Monday, 22 December 2014
Zalimo ka khauf
Wednesday, 17 December 2014
Mera gunah kya
Koi humeh bata de gunah humara, kiya kya humne aisa? Abhi abhi hi chalna sikhaya tha ammane, Papa ke kandho par julna baki tha, Sikhna abhi hi shuru kiya tha, Nanhi meri ankho me duniya bharni thi, kuchh hi kadam chala tha me khuda, Manjil meri bahut dur khadi thi, Sikhna abhi abhi hi shuru kiya tha. Kinare zeel ke intzar kar rha h paid humara, Dosti abhi abhi hi huyi thi usse, Chakhe bhi nhi the fal uske, Kyu ki kachhe lahrate the, Gaud me unki khelna bhi h... Amma ne bana diya hoga khana, Jab tak apne hatho se nhi khilayegi niwala, Bhukhi rahegi mere intzar me, Wada kiya tha mene bhi usko, Hote hi chhuti daudta chala auga khane aur khilane ... Par khuda kasur kya tha mera? Kiya kya tha aisa gunah mene? Bewajah khamosh kar diya, Mere ye sawal bejawab ho gya, Shayad yahi insaniyat hogi, Joh dard aur dehshat me palna... Abhi abhi hi mene zina sikha tha..... Ab kon khilayega niwala hume, Kab khayege pakke fal, Kon daudega galiyo me, Kon payega mere sapno ki manjil... kon....kon...
Tuesday, 4 November 2014
Akela nhi hu
Kafi der se sota rha,
Nind me ked hota rha,
Khota rha apne aap me,
Bhul gaya sare upvan ko,
Jane kabr me dufanaya ho,
Nhi aisa nhi tha...
Log samaj rhe the ki...
maut mujhme sawar huyi h,
Andhera itna gana h ki
Ujale ke liye mujh ko jalana h..
nhi... aisa nhi h...
Ki mar me gaya yahi bhram tha,
Sunai sargam kahi se de rha tha,
shayad panchi gun gunate the,
Raat yeh toh thi,
ab savera hua hai,
Khidki se bahar jaka toh,
Tha ujala charo aur,
Logo ki bhid umti huyi thi..
par apna koi nhi tha......
kaha pahuch gaya tha
nhi tha pata mujhe ,
par apna koi nhi tha....
nhi... aisa nhi tha...ki akela tha me..
Friday, 31 October 2014
सरदार हमारा
लोहे का सिना है ,
शेरोवाली चाल है जिसकी
वही सरदार हमारा।
जब जब उसका शब्द गुन्जा है,
तब तब एक एक जन एक बना है,
बनाया शिल्प जिसने भारत का
वही सरदार हमारा।
डरको भी जिससे डर लगता था,
डरपोक भी उनका नाम लेकर निडर होते थे,
वही सरदार हमारा।
उनकी शान मे शान है हमारी,
जिनकी पहचान मे पहचान,
टूटे टुकडो को जोडता गया
नयी पहचान देता गया।
सिखाता चला स्वाभीमान ,
जो जुके सरको भी उठाया है,
देशकी शानमे मरना अभिमान समजा।
वही सरदार को कोटी कोटी वंदन मनका।।
dedicate only sardar patel.....
jai sardar jai sardar
MANN http://mannpoemvoluem09.blogspot.com/
Sunday, 26 October 2014
Lipta jaa
Apne tan me dard chupa kar chal rha hun, Par kab tak Is dard jahir n hoga? Jab milegi khamoshi muzhe Akelapan milega muzhe, Tab kaise rok pauga ? Bus yahi wajah se jal rha hu me, Yeh sawan kaha chhupa h tu? Kyu muzhe is tarah jalta dekh rha h? Teri bund bund barsa mujh par, Q main tumse itna paraya hun? Ab sahara h tujhse Tu chahe toh raakh banade Ya malham bankar mere tan ko lipta jaa..
Jine ki wajah
Uhi tanha nhi zindgi humari
Khud ko bhulna chahta hu
Is pal ko
In khushnuma pal ko kahi ked krlu, Kabhi nhi mile toh usse yaad karlu. Ankho me bharne de in pal ko, Tasveer si banne de mann me, Aaj joh paya h woh kabhi n mile, dekh k tasveer kohi dastan ban jayegi, Jalte badan me malham ban jayegi... Ked karne de in hussin pal ko, Joh badan se bhi khushbu chhayegi... Yaad me pal ne de tasveer ko, Mann me hi hasrat si chhayegi....... ab chhune de is pal ko...
Shayad koi mustufa hai
Akeli
Kuchh is tarah hua
Uhi tanha nhi zindgi humari
Uhi nhi tanha zindgi humari, jaise phool se ojal hoti khushbu, Joh sans me ek hi bar samaye, Fir hawa me beh jaye, Hota joh aisa toh Iska dar mohabbat n karta, Rat rat bhar sitare n ginta..... Uhi tanha nhi zindgi humari... Uhi nhi hum kisise ummid lagayi, Jaise nayan me bhari ho kajal, Joh bund bund me khode khudko, Hota joh aisa toh Is tarah kisi ki nigah n karte, N hone par b mehsus n karte... Uhi tanha nhi zindgi humari..
Me kyu jikr kru
Jine ki panah n mili
Jab chahne ki kaushish ki
Kisi chidiya ka suna gaana
Khud ko bhulna chahta hu
Me n rha mere shabd rahe
Ab chhune do is pal ko
Shayri
Koi apna lag rha h
Apna rang kon sa
Footpath par so rha india
Saturday, 25 October 2014
Ab chhune do is pal ko
Kahani bachapan ki
Main waqt hu
Tuesday, 21 October 2014
Kahani bachapan ki
Yeh shyam dhalne do dheere dheere
Kisse shikayat karu
Dil me kisi k liye shikayat nhi h, Ghila h toh khud se h, Yeh galiya sitaro ki raat suraj ki roshani, Usse q khafa ho jau main, Najare ko nirakh ne gaya tha, Koi najara uhi dil me bus jaye, Yahi rajamand nhi thi dil ko, Yeh shikayat kru kisse Jisko beinthaan dil me basaya, Na parwah ki unhone mere dilki, N jane kya kr diya aisa , Joh dil jud nhi paya, Shayad galti hogi mere dilki, Jinko bithaya unhiko sukun n de paya.. Kisse shikayat kru....
Koi apna lag rha h
Doo pal
Tumhara hak
Dip se dip jalao
Dip jalte hoge aur Ujala hota, Khushiyo aur pyar ka sanchar hota, Toh mera ek dip shahido k naam, Joh Desh k liye khud ko jalate h Ek dip us anghan me jahan Bhukh se badan kapta h, Khane k liye taras rhe h... Mera ek dip roshni k liye, Joh apne atm sanman k liye Ladte h, Bebas aur lachari ko hata kr swaman ki khatir jalti betiyo k naam.... Ek ek diya jalao asha aur aman ki Roshni ho.. Atmvishwas aur sahas me safal ho.....
Dahod.. chal bhai moj kar
Nice through
Apna lagta h
Kab tak sehme rahoge
Satymev jayte
Tum tak
Barish ki chiththi
Kash nayi subah ho
Hongi nayi subah
Bittu poem
Kya naya sawera..
Apna lagta h
Hai bezuba woh
Rimzim barish me
Tuzhe dhundh rha hu
Story
Kab tak sehme rahoge
Khubsurti pita ..
Awaz laga ta hu
Zindgi me ek baar
Satymev jayte
Sath rehti h zindgi
N dhundh paya
Bus zindgi h ek baar
Agar tum sapna hote..
Barish ko kehdo
Bund bund tarsta rha
Muzhe chhod do
Dip jalao
Tumhara hak
Story
Saturday, 18 October 2014
Andhere ki chadar
Bewajah bato par
Me chav tumhari
Ishq me tanhay ka kauf
Khwab tinka tinka
Maa ki mamta
Udd ja chidiya
Muzhe pyar karte
Mujhe pyar karte ho karte raho par, Kabhi jatane ki kaushish mat karna, K khushbu hun mehsus karte rhna, Kabhi pane ki kaushish mat karna. mujhe pyar..... Yeh ankhe bahut dur tak dekhti h, Haqiqt se wakif h achhi tarah se, Mujhe leke sapne bund lo, Par sach banane ki kaushish mat karna. mujeh pyar..... Yeh mana k bahut dur h meri manjil, Magar mujko tanha pahuchna waha h, Ghadi do ghadi sath chalna h toh chaldo, Janam janam sath nibhane ki kaushish mat karna. mujhe pyar...... Mujhe se hi churakar meri yadaye, Mujhe hi satate ho meri taraha se, Satana h toh jee bhar sata lo, Par azamane ki kaushish mat karna. mujhe pyar....
Tum kah rhe ho
Khwab tutne
Muskab bhari mitti
Chala anghe me
Hosala..
Kitab k panno me
Bapu nu swapn
Arpan karu
Insaf k liye..
Padhle meri khamoshi
Palbhar ka sath
Desh me nikla suraj
Hindustan humara
Zahar pite rhe
Alvida...
Ab toh uth jaa
Roshni story
Dard alam
Khoyi huyi tasveer
Ho aap
Woh samaj n sake
Bachapan khoya me
Na kinara n kabr
Chunav aya
Hum aur main
Mann ke ayna
Khoya sa asman
Yeh mera
Buzargo ka swapna
Koi dard de gaya
Vande matram
Swapnu khovayu
Jer pidha jani jani
Tuesday, 30 September 2014
Bhulna chahta hu
Main kisi ko nhi pahchanna chahta,
Ab main khudko bhula dena chahta hu,
Jalna chahta hu, rakh me tabdil hona chahta hun...
Ab main khudko bhulna chahta hun......
Is tarah se mit rha hun,
Jaise registan me pani,
Joh pine ka bhi naseeb n ho saka,
Ojal ho jata h pal, waise hi chahta hun ojal ho na...
Ab main khudko bhulana chahta hun....
Bhale hi jal k rakh banu par
Kisi ko roshan krna chahta hun,
Mere dhalne se ho n kisi ko dukh,
Q ki is tarah se hi bewajah hona chahta hun..
Ab main khudko bhulna chahta hun...
Apno ki ankho me ansu dekhta hun,
Mann hi mann yeh ankhe bhi bahne lagti h,
Iska hal janne ke liye sawal puchhta hu khuda se,
Fir bhi wajah nhi milti unse bhi,
Jau toh jau kaha,
Behaal,bebas hu khada yaha,
N toh koi ungli ka sahara mila,
Is liye toh...
Ab main khudko hi bhulna chahta hun....
Wednesday, 10 September 2014
Zindgi le ja rhi
Zindgi kis taraf le ja rhi h,
Yeh main bhi nhi janta,
Par mera waqt gujarta rha,
Main dhalne ki aur badh rha...
Kisi ne bhi rasta nhi dikhaya,
Q ki jis path se gujar rha tha me,
N toh koi pathik tha,
Bus tha me akela...
Kaisi kashmkash me chal rha tha,
Joh manjil ki agah bhi nhi hua..
Zindgi muzhe kis tarah le ja rhi h.....
Saturday, 6 September 2014
Tuta dil
Jab chahne ki kaushish ki humne,
Tod diya dil unhone humara,
Fir bhi tuta hua dil dhadkta h,
Joh ummid ki aaz laga baitha h,
Hai yakin humri panah par,
Ek din unko b hogi shikva humse..
Q ki tuta hua dil bhi dhadak rha h...
N toh shikayat hogi humari unko,
Jab woh hume apnane par,
Q ki dil tuta h fir bhi
Tasvir dikha rha h unki....
Wednesday, 3 September 2014
Shayri
Zine ki n panah mili ,
Bhatkti rhi dar bar dar,
Fir bhi rasta n mila,
Me n samaj paya bhes duniya ka,
Pahle jine ki ummid jagayi,
Khud hi ab thukrate h,
Kya julm mene kibya tha,
Joh jite hi marne sa ho pada tha,,,
Sunday, 31 August 2014
Tere naam
Dil me ek khwayish thi,
Pake hi tanha hua hun,
Dur thi jabtak woh muzhse,
Najar se n hatti thi woh,
Aaj bhi ansu se nikal ti h,..
N mili thi toh adhura tha,
Milkar bhi pura n ho paya,
Bikhrate huye sitare sa,
Pal bhar me hi roshan ho paya...
Uss roshi kurbaan h tere naam...
Wednesday, 27 August 2014
Intzar
Hawa ne rukh badli h,
Unho ne bhi nigahe meri aur ki h,
Pata nhi najariya kaisa hai?
Par jis ankho ne dekha hai
Meri aur,
Wahi ankhe kar rhi h intzar.
Joh bhi kahte woh
Ankho se milta nhi h,
Q ki ankhe kuchh aur hi baya kar rhi h,
Mil gaya h tabse ishara muzhe,
Ab shabd se baya karne ka
Intzar kyu kru?
Bus mil gya h ishara muzhe....
Saturday, 23 August 2014
Kyu karu zikr
Me kyu karta hun zikr uski
Jisne muzhe wajah n samja,
Kyu krta hun un galiyo ki sair,
Jis gali me mera naam n ho.
Bus dil ko laga ki woh apna h,
Toh fir kyu mehsus nhi krwaya,
Waqt aise bitate gaye
Jaise hatho se maru chhut rhi ho.
Registan me khada hun khwab lekar,
Kahi dil ki tanhay ko chhav mile..
Main kyu kru itna garv un par,
Jab khud ko hi tukdo me bat diya ho,
Fir kaha tasvir dikhegi puri meri,
Adhi adhuri hi kahani ab meri.
Ho sake toh karna fakr muzh par,
Nhi toh hawame beh jauga
Phool ki khushbu ki tarah,
Waqt jab woh chala gaya toh,
Fir sans me nhi bhar paoge muzhe..
Karna ho zikr meri toh ,
Muskurata rahuga main,
Nhi toh bin pilaye pani wale
Paudhe ki tarah
Murja jayegi hansi meri...
Main kyu karta hun zikr uski....
Thursday, 21 August 2014
Is tarah se mile
Is tarah se tum muzhe mile,
Jaise dopahar me chhaya mil jaye,
Jaise phoolo se khushbu mil jaye....
Tanha tha me ,
N thi jine ki wajah,
Mile tum toh hosale se bhara ghosla ban gaya,
Tum n hote toh asaman k sitare bhi
Bebas hi paye the mene,
Par aaj asman me bhi bahar ayi h..
Agar tum n hote toh ..
Khud se bhi milte nhi,
Aaj aisi lagi h lagan ki
Hone laga h khud par yakin...
Tum hi meri kahani ho..
Ya
Mere zahen ki gajhal,
Labz jab bhi niklta h toh,
Shayarana ho jata h..
Yeh n toh bharam h mera,
nhi udti hawa ka dhaga,
Joh mohabbat ki h tumase,
Bus wahi ahesas h mera...
Tum mile ho ia tarah kii..
Thursday, 7 August 2014
Sangharsh
Yeh kahani ki shuruat hoti h azadi milne se thik pahle...
Ek punjabi baap tha ..jiski ek hi beti thi...uss beti ka naam tha Roshani..
Roshni ki maa bachapan me hi chal basi thi..
Roshni ko uss ke baap ne bade pyar se sambhala tha...q ki roshni dekh nhi sakti thi ..jab uska baap bol nhi sakta tha....fir bhi dono khush the...
Ek din jab der rat ko ghoshna huyi ki Hindustan ka batwara ho rha h ..
Jisko pakistan me rehna h usse pakistan me rahe aur india me jana h woh india chale jaye...
Is baat se baap beti dono anjan the ..
Q ki dono ki duniya in sab se alag thi..jab sawera nikla subah ka toh bahut sari uljane b sath lekar aya..jab batwara shuru hua toh baap beti ka sath chhut gaya aur ek dusre se juda ho gaye...
Yeh batwara yuhi doo desho ka nhi tha par do zindgi ko ek dusre se alag kar diya tha....bus batware me baap india me aa gaya par beti ka kuchh pata nhi chala..bus zindgi ka sangharsh kar rhe the baap aur beti..
Beti ka haal behal tha .roshni dekh nhi sakti thi isliye uss ka fayda uthane lage log... jab ek mahila usse aisi halat me dekhti h toh usse kothe par le jati h..q ki wahi mahila kotha chalati h...Roshni ka jivan badi ulzan se chal rha tha...uski zindgi ka majak bana diya tha..par ek din ek insan kothe par jata h ..tab roshni ko dekhta h..Roshni bahut sundar dikhti thi..par woh uski sundarta se nhi lekin uski bato se uske sanskar se ahesas se jud jata h...woh aam insan nhi tha lekin pakistan ke rayis khandan ka tha...woh usse pyar krne lagta h...Roshni koh kothese nikalta h....aur uska ilaj bhi karwata h....Roshni ki ankhe thik ho jati h dekhne lagti h....Baad me jis insan se shadi krna chahti thi woh insan ka naam tha zubain khan.....zubain ko pata chalta h ki roshni ka baap is batware me india chala gaya h tab dono india ate h...apne baap ko khojne k liye ...pure 11 mahine tak khojte par nhi milta....
Jab akhri din tha pakiatan lotne ka tab Roshni ki khwayish thi ki amrutsar k golden temple jane ki.. q ki jab roshni apne baap k sath thi toh kyi bar waha par ate the ..par usse n dekhne k karan gurudwar ko dekh nhi payi thii..
Dono gurudwar se bahar niklte h tab ek bhikhari bhikh mang rha tha..uski halat bahut hi bigdi huyi thi ..jab roshni usse dekhti h toh bahut hi dukh hota ..uske pass jati tab usko dekhkar bhikhari bhikh magne ki takori ko ajib awaz me baja rha tha...usko sunte hi roshni ro padti h aur bhet padti h uss bhikhari ko...q ki wahi uska baap tha...
Yeh kahani baap beti k sangharsh ki h...joh jindgi ek dusre se alag hoti h aur judti h...
Tuesday, 5 August 2014
Sawan me sargam
Bund bund gir rha h sawan,
kone kone me sargam uthi,
n jane kya kah gayi kan me
patte khushi se jum uthe,
mor bhi sawan me mahak rha h,
dekhta hun agal bagal me,
sab masti me hai sawan me,
ek me hi hun joh betha hun kone me,
darta hun ki bhig n jao in sawan me,
q ki dil me itna ahesas daba h ki
Bund bund bhiga rha h,
kabhi koi muzhe saharta toh
shayad sawan ki barish saragam hoti......
Thursday, 24 July 2014
Woh pal
Zindgi ki yeh kaisi kashmkash h,
Jis pal se dur jana chahta tha,
Samne aarha h wahi pal,
Mudna chaha usse lekin,
Woh mumkin nhi ho paya,
Q ki sagar ki lehre sameer se milkar hi,
Muzhe le jaa rhe h wahi pal ki aur.
Lahre k sath lalkhrati nav meri,
Har pal uss pal se sanghrsh karta h..
Kaisi h yeh zindgi ki kashmkash,
Joh muzhe kabr sa lagta h,
Zinda hun fir bhi
Kafan me lipta rha h woh pal,
Chilla rha hun main
Par meri zubaan hi kat gayi h,
Fir kyu main awaz du meri,
Uss pal ko dastan ye baya karu..
Zindgi ki yeh kaisi kashmkash hai..
Monday, 21 July 2014
U hi nhi
Uhi nhi tanha zindgi humari,
jaise phool se ojal hoti khushbu,
Joh sans me ek hi bar samaye,
Fir hawa me beh jaye,
Hota joh aisa toh
Iska dar mohabbat n karta,
Rat rat bhar sitare n ginta.....
Uhi tanha nhi zindgi humari...
Uhi nhi hum kisise ummid lagayi,
Jaise nayan me bhari ho kajal,
Joh bund bund me khode khudko,
Hota joh aisa toh
Is tarah kisi ki nigah n karte,
N hone par b mehsus n karte...
Uhi tanha nhi zindgi humari..
Sunday, 20 July 2014
Kuchh is tarah
Kuchh is tarah hua ki
Humne khudko badal diya,
Jante hi nhi h kis wajah se
Khamoshi ko hi takdir banadi,
Khud se toh ruth gaye
Ab padchhayi bhi nhi nasib huyi.
Kuchh is tarah se hua ki...
Samne nhi tha koi
Par ankhe kisi ko dekh rhi thi,
Kisi ki hone ki wajah farma rhi thi,
Gumnaam uss zindgi me
Apna hi paigam mita diya tha.
Kuchh is tarah se hua ki..
Raat raat jag kar tasveer banayi,
Par din k uzalo me fikki pad gayi,
Raat ko hi najara banaya h tabse,
Jabse sawera berang hua.
Kuchhh is tarah hua ki..
Tuesday, 15 July 2014
Yeh sawan
Apne tan me dard chupa kar chal rha hun,
Par kab tak Is dard jahir n hoga?
Jab milegi khamoshi muzhe
Akelapan milega muzhe,
Tab kaise rok pauga ?
Bus yahi wajah se jal rha hu me,
Yeh sawan kaha chhupa h tu?
Kyu muzhe is tarah jalta dekh rha h?
Teri bund bund barsa mujh par,
Q main tumse itna paraya hun?
Ab sahara h tujhse
Tu chahe toh raakh banade
Ya malham bankar mere tan ko lipta jaa..
Friday, 11 July 2014
Sahara tinka ka
Sagar me chala main tinke k sahare,
waqt hi batayega kinare milega,
ya sagar ki gahray.
Kiya vishwas in tinka ka
par mann mera kabhi man leta tha,
kabhi dara ya bhi karta tha...
Kon si manjil pani h,
yeh tay nhi tha ,
fir bhi tinke k sahare chala,
Monday, 7 July 2014
Muzhe toh raakh hi banna h
Main kyu karu itni guftu,
Banna toh muzhe h rakh hi.
Fir muzhe kon yaad karega,
Waqt ke sath bah jauga,
Koi ankh bhi dekhegi nhi mudke,
Yuhi sameer ke sath
meri raakh bhi ojal ho jayegi...
Jitna jiya maine wahi waqt gavah,
Jab waqt badal jayega yeh,
Kitab k kisi panne me rah jauga,
Kore kagaj ki likhavat bankar,
...banna toh rakhh hi h.....
Dastan meri zindgi ki
Dhul se lipti kitab hi baya karegi,
Shayad woh bhi rakh banna
Chahti hogi,
Par waqt aisa nhi hone deta,
Sadiyo ke baad fir kabhi
Mera panna padhega..
Fir yaad hogi meri bhi
Woh udti raakh kahi par
Mere hone ka mukam baya karegi...
Waqt badlega...muzheh toh raakh hi banna h....
Saturday, 5 July 2014
Bezuaba
Bezubaan hokar khada rha,
Apne aap sehta rha,
Jala rhe the meri zindgi ko
Apne hi ahesas se judi hastiya,
Jante huye bhi mrug jal ke
Pichhe bhagta rha,
Jalti zindgi ko buzane k liye.
N mil saki manjil muzhe
N mil saki khamoshi ,
Jisme dafan hona chahta tha,
Katra katra khudko pigalata rha,
Kisi ke ankho me thandsa malham banne k liye,
N dekh sake woh muzhe...
Nanha jism
Ek nanhe jism ko kya kya sehna h?
Sar se lekar pav jal rhe h garmi,
Ankhe mag rhi h madad
Fir bhi h koi dekh nhi sakta,
Yeh kaisi uljan hai
Pet me nhi gaya ek bhi dana,
Fir bhi khada raha h footpath par,
N jane q log an suna kar rhe h,
Yeah nanhe jism ko,
Tha mera desh sone ki chidiya,
Par ab ghosla bhi nhi dikhta,
Tadapta bhatkta yeah nanha jism,
Koi q n de raha h sahara,
Koi q maa bankar ghodme nhi bithati,
Koi q n usse apna manta h,
Yeah nanha jism itna paraya h?
Bhukha nanga jism kitna lachar h,
Janm lekar dharti pe aya,
Yaha kitna anjan hai,
Khoye huye apne the
Ab takdir bhi khoyi huyi h,
Koi n usse pahchan deta,
Koi n usse pyar deta h,
Koibn usse mamta deta h,
Q ki yeah jism ANATH hai.....
Azadi
Ab aghe chala aya ,
Unh palo ko chod ke,
Lamha lamha jisme,
pighla tha barfsa.
Hotho ki hunsi,
Thahar gayi thi,
Doo labz par,
Ab Bhulta aya ,
Unh nagmo ko.
Ab chhod chala rastah,
Andhero se gujara tha,
Mann ko jalata tha.
Bus guzarish uthi h,
Lamha lamha zine ki,
Hawao ko mehsoos krne ki,
Panchi sa banneki....
Main nhi hun
Yeh shayad main nhi hun,
Nhi toh is tarah bewajah
Sagar ki lehar ki tarah naam
Bar bar nhi mitata,
Bewaqt ki barish bankar
Fiza ko nhi Bhigata is tarah.
Main toh is tarah ka nhi tha,
Jis tarah ayina dikha rha h,
Kabhi khud ko bhi dekhkar
Jata hun darr is tarah se,
Jaise suraj ki roshni se andhera.
Gaur kar rha hun kuchh dinse,
Nhi dikhti padchayibhi muzhe,
Jaise khada hun koi andhera me,
Shayad yeh andhera hi main n hu.
Bapu bu swapn
Juna jarjarit ghar ma bapunu ek swapn malyu.
Dard thi tarvartu ne, ankho machortu hraday malyu.
Chopdiyoni anandar potane khosti, ahisana path sikhvti lakdi mali.
Badalayeli duniya ma potanu sarnamu shodhtu satay malyu.
Je pramanikta hti aje khud bhastachariyona khijanu vajan bani gayu.
Juna jarjarit gharma bapu nu ek swapn malyu......
Sagar ki safar
Me chala apni nav lekar,
Safar sagar ki karne,
Par.....
Me toh baitha hu uhi, intzar me kinare ki.
Me jaa nhi raha par
Yeh sameer muzhe le jaa raha h,
Intjar h isliye kinare ki.....
Sahara tha sameer ka,
Sangharsh ki wajah bhi tha,
Lahre utha ta tha,
Meri navn ko bekabu kar jata tha...
Fir bhi sambhalta tha sameer,
Me toh chal pada nav lekar,
Safar sagar ki karne...
Raahi ko hurdam fikr
raste ki hoti h,
Raah n mera apna tha
Woh toh hawa ki ruh thi,
Le jaa rahi thi ...... pata nhi kaha?..
Safar sagar ki me toh chala.....
Wednesday, 2 July 2014
Mohabat
humne mohabbat tumse
uss imtihan tak ki hai,
jisko humne apni najar banayi h,
Tum ho badan, main hu padchhayi,
Tan k bina kaha hogi meri dushwai,
Bus itna jan le jiye ...
Duniya ki najar se humne khoya h,
par khud ki najar me bahut kuchh paya h..
Q ki.....
humne tumse mohabbat ki,
jis ki kayamat payi h
Tuesday, 1 July 2014
Sagar jaisa
suna tha maine ki
Sagar jaisa dil hona chahiye,
Gaya janne ke liye
Sagar kinare,
Jab likha tha kisi ka naam dilme,
Sagar kinare use likhna chaha,
Likha jab naam unka
N jane yeh kaisi laher ayi,
Sath apne le gayi naam unka,
Baar baar likhta rha naam unka,
Baar baar mitati rhi naam unka,
N jane me kaisi kaushish kar rha tha,
Har baar nishfal nirash ho rha tha,
Ansu se bhar gaye nayna,
Q dil ko dariya banau,
Joh mere priyatama ko
Amar nhi kar saka,
Sagar kinara ka naam tu mita sakta h
Par dil me chhupaya kaise mitaoge yeah sagar ki lehre
Sunday, 29 June 2014
Mann
Apne mann ke ayine me zank.
Har insan ke andar pyar dikhe toh Ishu h.
Har insan ke andar Apnapan dikhe toh Allah h.
Har insan ke andar Imandari dikhe toh Guru nanak h.
Har insan ke andar Daya dikhe toh Mahaveer h.
Har insan ki andar tyag dikhe toh Buddh h.
Har insan ki andar Shama dikhe toh Shivaji h.
Bus mann ke andar ka Ayina me jank sab dikhega.
Pana toh sirf insaniyat h kyuki Sab ka malik ek.
Najar se pahchano toh khuda ko paonge.
Saturday, 28 June 2014
Kyu aaj
Kyu aaj asaman khoya sa lag rha h,
Kisi ki pyar ki tanhayi me jalta jiya sa lag rha h.
Kyu aaj girte sitare se bikhad rhi mala,
Apno ki ruswai me bichhad rhi ye ahat.
Kyu aaj ye kayamat si lag rhi h raat,
Har pal sath thi tab n paa saka aaj h dil me jo rok n saka.
Kyu aaj chanda ki roshani jalan si jok rhi h,
Husnama chahre par nafrat ki jwala bhadk rhi h.
Kyu aaj........
usko mehsus krne se dil gabhara rha h...
Vande matram
Vande matram,Vande matram,
Uski anchal ki khushboo ,
Uski pyar bhari nazre,
Deti hai ankho ko mithi aas.
Jannat se badhakar hai uski god,
Jisme milti hai duniya ke gumse azadi.
Par kya kru me---
Me wafa k naam par bewafa ban betha.
Jis god me sukun mila usi ko hi KOYLE se jalane chala.
Pahle toh paraye the abhi khudke hi lutne chale .
2G spectom ho yaa mehngai apni apni jeb ko garm rakhne ke liye Garibo ki chita jalane lage.
Fir bhi kahte hai....Vande matram vande matram...
Buzurgo ki amanat
Humare buzurgo ne dekha tha azad bharat ka sapna,
Kambhaqt woh apna ho na saka.
Char kadam chale hi nhi aur lalkhara diye gaye,
Chalna toh sukun se tha par apna rasta nhi tha..
Humare buzurgo ne........
Kurbanio ki awaz gunjti rhi in hawao me,
Woh hawa par hum sans na lesake.
Gandhi ,bhagat ki taswir rakhte hai apni zebb me,
Beimani ko bechate iman ki ahuti se.
Humare buzurgo ne dekha...
Koi dard de gaya
koi dard degaya
Bin bole gam ka khajana de gaya.
pyar toh ek tasvirse kiya tha,
n jane aaj us tasvir par kisne rang badldiya.
Anjani is tasvir ki fikrat karne chala.
Hotho par gum ki muskaan lekar,
husin sapno ki duniya me.
koi dard de gaya
Thursday, 26 June 2014
Ud jaa chidiya
Udd ja chidiya mere anghan se,
Tu zee nhi payengi aaj yahan,
Badal gayi h niyati aur nazar,
Bhul gaye h hindustan ki sabhayta aur sanskar,
Tu zine chali thi azadi ko
par teri azadi kisi ki mauz ho gayi h.
Pahle thik tha ki ghar ki diwal me kaid thi,
Fir aaj tu kaid ho ja.
Tu zee nhi payengi aaj yahan...
Thursday, 19 June 2014
Kisne kiya
kaisi hai yeh bhasha ,
kaisa hai vesh,
fir bhi rang lagta q ek?
shayad kisi kalakar ne iss tarah se
banayi hai kruti,
jaise dudh me sakar mil jaye,
jaise samundar me lahar sama jaye,
yeh kisne kiya aisa
joh anek rang me bhi
hai ek rang sabme...
shayad wahi rang hai....pyaar ka...yaa ahesas ka.....
Sunday, 15 June 2014
Awaz do
Awaz doo
Dil ki khubsurti se dekho ,
duniya ki khubsurat lagne lage gi.
Ankho ke noor me iman ka awaz lagao,
Har jagah imandari ki pahchan hogi.
Duniya ka bhi azib rang me rangi hai,
Isme mera rang kon sa hai -chhalkao.
khud ko khudi banao sara jahan khudai ho jayenga..
Apne Dil ki khubsurati ki awaz lagao...khubsurat jahan ko paonge
Mann
MANN
Fir guzre pal yaad aagaye,
sapno se bhari dastanme chala aya.
barish ki narm si hawame bhigta chala aya,
ankhome bhi yaado ki barish pita chala aya.
Hum bhi woh lamhe jii rahe the,
Jisko apna samazte the usiko hi bhulta aya.
Njane kyu aajtak dilke kone me,
kisiko mehsus karta chala aya.
Fir guzre pal ko yaad karta aya.
Saas aur dhadkan se jii raha hu,
Par dilka ayana aur ankho ka noor dhundhta chala aya me.
Saturday, 14 June 2014
Jine ki wajah
Raat ki khamoshi bhi
Hoke anjan hume sawal krti h,
Kya achha lagta h tumeh
Din ka ujala yaa main?
Mann mera yuhi bol pada,
Sawal ko ansuna krne laga...
Par....
Apne aap ko kaise ansuna kar pata?
Dil me awaz uthi aur bol padi..
Yeh raat ki khamoshi har jakhm bhola deti h,
Jaise maa ki ghod me sukun mile.
Par ..
Yeh din ka ujala,
Jalata hai tanha tanha me,
Yaad dilata hai fir wahi jakhmo ko,
Jisse me dur jana chahta hun..
Ab darr sa hai din ka ujala...
Jine ki wajah ban gayi,
Yeh kali ganni raat ki khamoshi........
Saturday, 7 June 2014
Hum
Aaj raat khamosh h
Khamoshi me bhi
Thandi purvai kuchh kehti h?
MAIN aur TUM se HUM bane
Q ki itni dil chaspi h usme,
Aaj ek dujje me ahesas ki
H pyaas,
Bujti nhi pyas istarah se,
Milne de humeh aaj
Main aur Tum HUM bane.
Kiya intjar is raat ka barso se,
Aa gayi h ghadi aaj usi din ki,
Joh keh n saka tha main ,
Fir bhi chup nhi raha tha,
Istarah se gul milne de ki
Main aur Tum se Hum bane...
Thursday, 29 May 2014
Akelli
aaj kuchh naya ahesas hua hai,
khet me gehun kat ti ladki,
kis gam me geet gun gunati thi'
shayad pata nhi tha
q ki uske labz mere girft se bahar the,
fir bhi dard ki ulfat me thukraya hua
soor zubaan de raha tha,
me n janta tha usse -
fir bhi ahesas q muzhe ho raha tha,
shayad meri bhi tarah woh bhi thi...
duniya se alag.....akeliiii...
Rah bhula pathik
Rah bhul gaya h pathik,
Kis disha me jaa rha h pathik?
Jis se ko jante huye b anjan ban rha h pathik.
Gulab se saji pagdandi chahta tha,
Fir kante kyu bichha rha h pathik?
Saty aur parmarth ki nagari chahta tha jana,
Fir kyu atyachar sahne laga h pathik?
Mano ya n mano yeh koi aur h
Q ki jis pathik nikla tha yaha se
Aaj anjan kyu lag rha h pathik?
Kya waqt ne badal diya ?
Yaa khud hi waqt ko badal diya?
Wahi dhondh rha h pathik....
Sangharsh
Zindgi ek sangharsh h.
Jaise paid ka patta patjal tak tej hawa k sath sangharsh karta h. Tej sameer me apna astitva barkrar rakhne k liye aur paid k sath samband tut n jaye is vajah k sath sangharsh krta h . Jab patjal ati h tab hawa ke bager hi gir jata h...uska sangharsh bhi khatm ho jata h...
Manushy bhi wahi karta h. Janm se lekar mutyu tak sangharsh me lagatar jajumta rahta h. Mutyu hote hi usi k sath khatm ho jata h....bus sangharsha hi zindgi h...
~SHREE KRUSHN BHAGWAN