Wednesday, 17 December 2014

Mera gunah kya

Koi humeh bata de gunah humara, kiya kya humne aisa? Abhi abhi hi chalna sikhaya tha ammane, Papa ke kandho par julna baki tha, Sikhna abhi hi shuru kiya tha, Nanhi meri ankho me duniya bharni thi, kuchh hi kadam chala tha me khuda, Manjil meri bahut dur khadi thi, Sikhna abhi abhi hi shuru kiya tha. Kinare zeel ke intzar kar rha h paid humara, Dosti abhi abhi hi huyi thi usse, Chakhe bhi nhi the fal uske, Kyu ki kachhe lahrate the, Gaud me unki khelna bhi h... Amma ne bana diya hoga khana, Jab tak apne hatho se nhi khilayegi niwala, Bhukhi rahegi mere intzar me, Wada kiya tha mene bhi usko, Hote hi chhuti daudta chala auga khane aur khilane ... Par khuda kasur kya tha mera? Kiya kya tha aisa gunah mene? Bewajah khamosh kar diya, Mere ye sawal bejawab ho gya, Shayad yahi insaniyat hogi, Joh dard aur dehshat me palna... Abhi abhi hi mene zina sikha tha..... Ab kon khilayega niwala hume, Kab khayege pakke fal, Kon daudega galiyo me, Kon payega mere sapno ki manjil... kon....kon...

No comments:

Post a Comment