Me chala apni nav lekar,
Safar sagar ki karne,
Par.....
Me toh baitha hu uhi, intzar me kinare ki.
Me jaa nhi raha par
Yeh sameer muzhe le jaa raha h,
Intjar h isliye kinare ki.....
Sahara tha sameer ka,
Sangharsh ki wajah bhi tha,
Lahre utha ta tha,
Meri navn ko bekabu kar jata tha...
Fir bhi sambhalta tha sameer,
Me toh chal pada nav lekar,
Safar sagar ki karne...
Raahi ko hurdam fikr
raste ki hoti h,
Raah n mera apna tha
Woh toh hawa ki ruh thi,
Le jaa rahi thi ...... pata nhi kaha?..
Safar sagar ki me toh chala.....
No comments:
Post a Comment