Yeh shayad main nhi hun,
Nhi toh is tarah bewajah
Sagar ki lehar ki tarah naam
Bar bar nhi mitata,
Bewaqt ki barish bankar
Fiza ko nhi Bhigata is tarah.
Main toh is tarah ka nhi tha,
Jis tarah ayina dikha rha h,
Kabhi khud ko bhi dekhkar
Jata hun darr is tarah se,
Jaise suraj ki roshni se andhera.
Gaur kar rha hun kuchh dinse,
Nhi dikhti padchayibhi muzhe,
Jaise khada hun koi andhera me,
Shayad yeh andhera hi main n hu.
No comments:
Post a Comment