N rukta h yeh toh
sirf chalna janta h,
Kayi log aakar chale gaye,
Koi khush ho kar gujra,
koi gum ko ansu me bahate gujra,
Par yeh toh kisi k liye nhi ruka,
N toh kisi ki khushi se khush hua,
N kisi ke ansu ko puchne ruka,
Aisa lagta hai ki....
Woh apni raftar me
sab ko pichhe chhod na chahta tha,
Khud ko hi akela mehsus krta tha
par kisi k liye rukta nhi hai.
kisi ko kabar tak le gaya
kisi ko smashan tak,
koi safalta se khush tha
koi mann hi mann pichhada hua tha....
kisi ne nhi puchha ki
yeh qubaqt hai kya?
Fir bhi bata gaya
MAIN WAQT HUN....
No comments:
Post a Comment