Raat ki khamoshi bhi
Hoke anjan hume sawal krti h,
Kya achha lagta h tumeh
Din ka ujala yaa main?
Mann mera yuhi bol pada,
Sawal ko ansuna krne laga...
Par....
Apne aap ko kaise ansuna kar pata?
Dil me awaz uthi aur bol padi..
Yeh raat ki khamoshi har jakhm bhola deti h,
Jaise maa ki ghod me sukun mile.
Par ..
Yeh din ka ujala,
Jalata hai tanha tanha me,
Yaad dilata hai fir wahi jakhmo ko,
Jisse me dur jana chahta hun..
Ab darr sa hai din ka ujala...
Jine ki wajah ban gayi,
Yeh kali ganni raat ki khamoshi........
No comments:
Post a Comment