Thursday, 29 May 2014

Rah bhula pathik

Rah bhul gaya h pathik,
Kis disha me jaa rha h pathik?
Jis se ko jante huye b anjan ban rha h pathik.

Gulab se saji pagdandi chahta tha,
Fir kante kyu bichha rha h pathik?

Saty aur parmarth ki nagari chahta tha jana,
Fir kyu atyachar sahne laga h pathik?

Mano ya n mano yeh koi aur h
Q ki jis pathik nikla tha yaha se
Aaj anjan kyu lag rha h pathik?

Kya waqt ne badal diya ?
Yaa khud hi waqt ko badal diya?
Wahi dhondh rha h pathik....

No comments:

Post a Comment