Tuesday, 29 September 2015

Zindgi thi meri

Kora kagaj si bani thi meri khamoshi,
Sans dhadkan chalti thi,
Par me zinda nhi tha......

Khud pr kaise yakin karu,
Zism joh bejaan tha mera,
Shayad khud ko hi nhi
Me pehchan raha tha .....

Waqt chalta gaya me
Khud ko bhulta gaya,
Yaad thi toh bus ansu se bhari dastan,
Ansuna karu toh kaise karu,
Par kb tak chalu jugnu k sahare.....

N jane kisi ne awaz lagayi mujhe,
Pehchan n saka kon thi woh,
Joh itni shiddhat se pukarti thi mujhe,

Khamoshi meri unke liye zubaan thi,
N jane kis tarah se bakhubi pahchanti thi mujhe....
Shayad wahi meri zindgi thi..

Jiske hone se jinda hu me,
Ankho ne bhi ab palak le rahi h,
Bus
Wahi awaz thi meri zindgi....zindgi k liye

Friday, 11 September 2015

Janaaje pe khadi h zindgi

zanaje pe khadi thi meri zindgi,
Par kisine rokne ki kaushish nhi ki,
Bezaan jism tadpa tadpa kar,
jAlane ki chah deta tha,
par-
khamosh tha sara jamana,
jaise shamma buzi ho aur
raat ho gayi hoo..

n ban saka koi sahara mera ,
q ki khade huye the ankahe sawal,
mere hi jism ko tadpane ke liye,

nhi ayegi aise hi maut is jism ki,
q ki zanaaje par hi khadi thi meri zindgi,
ek hath anghe badhaye huye,
mujhe jindgi dene wale..
shayad isliye hi khadi thi
janaje pe meri zindgi