Main kisi ko nhi pahchanna chahta,
Ab main khudko bhula dena chahta hu,
Jalna chahta hu, rakh me tabdil hona chahta hun...
Ab main khudko bhulna chahta hun......
Is tarah se mit rha hun,
Jaise registan me pani,
Joh pine ka bhi naseeb n ho saka,
Ojal ho jata h pal, waise hi chahta hun ojal ho na...
Ab main khudko bhulana chahta hun....
Bhale hi jal k rakh banu par
Kisi ko roshan krna chahta hun,
Mere dhalne se ho n kisi ko dukh,
Q ki is tarah se hi bewajah hona chahta hun..
Ab main khudko bhulna chahta hun...
Apno ki ankho me ansu dekhta hun,
Mann hi mann yeh ankhe bhi bahne lagti h,
Iska hal janne ke liye sawal puchhta hu khuda se,
Fir bhi wajah nhi milti unse bhi,
Jau toh jau kaha,
Behaal,bebas hu khada yaha,
N toh koi ungli ka sahara mila,
Is liye toh...
Ab main khudko hi bhulna chahta hun....