Dil me ek khwayish thi,
Pake hi tanha hua hun,
Dur thi jabtak woh muzhse,
Najar se n hatti thi woh,
Aaj bhi ansu se nikal ti h,..
N mili thi toh adhura tha,
Milkar bhi pura n ho paya,
Bikhrate huye sitare sa,
Pal bhar me hi roshan ho paya...
Uss roshi kurbaan h tere naam...
Sunday, 31 August 2014
Tere naam
Wednesday, 27 August 2014
Intzar
Hawa ne rukh badli h,
Unho ne bhi nigahe meri aur ki h,
Pata nhi najariya kaisa hai?
Par jis ankho ne dekha hai
Meri aur,
Wahi ankhe kar rhi h intzar.
Joh bhi kahte woh
Ankho se milta nhi h,
Q ki ankhe kuchh aur hi baya kar rhi h,
Mil gaya h tabse ishara muzhe,
Ab shabd se baya karne ka
Intzar kyu kru?
Bus mil gya h ishara muzhe....
Saturday, 23 August 2014
Kyu karu zikr
Me kyu karta hun zikr uski
Jisne muzhe wajah n samja,
Kyu krta hun un galiyo ki sair,
Jis gali me mera naam n ho.
Bus dil ko laga ki woh apna h,
Toh fir kyu mehsus nhi krwaya,
Waqt aise bitate gaye
Jaise hatho se maru chhut rhi ho.
Registan me khada hun khwab lekar,
Kahi dil ki tanhay ko chhav mile..
Main kyu kru itna garv un par,
Jab khud ko hi tukdo me bat diya ho,
Fir kaha tasvir dikhegi puri meri,
Adhi adhuri hi kahani ab meri.
Ho sake toh karna fakr muzh par,
Nhi toh hawame beh jauga
Phool ki khushbu ki tarah,
Waqt jab woh chala gaya toh,
Fir sans me nhi bhar paoge muzhe..
Karna ho zikr meri toh ,
Muskurata rahuga main,
Nhi toh bin pilaye pani wale
Paudhe ki tarah
Murja jayegi hansi meri...
Main kyu karta hun zikr uski....
Thursday, 21 August 2014
Is tarah se mile
Is tarah se tum muzhe mile,
Jaise dopahar me chhaya mil jaye,
Jaise phoolo se khushbu mil jaye....
Tanha tha me ,
N thi jine ki wajah,
Mile tum toh hosale se bhara ghosla ban gaya,
Tum n hote toh asaman k sitare bhi
Bebas hi paye the mene,
Par aaj asman me bhi bahar ayi h..
Agar tum n hote toh ..
Khud se bhi milte nhi,
Aaj aisi lagi h lagan ki
Hone laga h khud par yakin...
Tum hi meri kahani ho..
Ya
Mere zahen ki gajhal,
Labz jab bhi niklta h toh,
Shayarana ho jata h..
Yeh n toh bharam h mera,
nhi udti hawa ka dhaga,
Joh mohabbat ki h tumase,
Bus wahi ahesas h mera...
Tum mile ho ia tarah kii..
Thursday, 7 August 2014
Sangharsh
Yeh kahani ki shuruat hoti h azadi milne se thik pahle...
Ek punjabi baap tha ..jiski ek hi beti thi...uss beti ka naam tha Roshani..
Roshni ki maa bachapan me hi chal basi thi..
Roshni ko uss ke baap ne bade pyar se sambhala tha...q ki roshni dekh nhi sakti thi ..jab uska baap bol nhi sakta tha....fir bhi dono khush the...
Ek din jab der rat ko ghoshna huyi ki Hindustan ka batwara ho rha h ..
Jisko pakistan me rehna h usse pakistan me rahe aur india me jana h woh india chale jaye...
Is baat se baap beti dono anjan the ..
Q ki dono ki duniya in sab se alag thi..jab sawera nikla subah ka toh bahut sari uljane b sath lekar aya..jab batwara shuru hua toh baap beti ka sath chhut gaya aur ek dusre se juda ho gaye...
Yeh batwara yuhi doo desho ka nhi tha par do zindgi ko ek dusre se alag kar diya tha....bus batware me baap india me aa gaya par beti ka kuchh pata nhi chala..bus zindgi ka sangharsh kar rhe the baap aur beti..
Beti ka haal behal tha .roshni dekh nhi sakti thi isliye uss ka fayda uthane lage log... jab ek mahila usse aisi halat me dekhti h toh usse kothe par le jati h..q ki wahi mahila kotha chalati h...Roshni ka jivan badi ulzan se chal rha tha...uski zindgi ka majak bana diya tha..par ek din ek insan kothe par jata h ..tab roshni ko dekhta h..Roshni bahut sundar dikhti thi..par woh uski sundarta se nhi lekin uski bato se uske sanskar se ahesas se jud jata h...woh aam insan nhi tha lekin pakistan ke rayis khandan ka tha...woh usse pyar krne lagta h...Roshni koh kothese nikalta h....aur uska ilaj bhi karwata h....Roshni ki ankhe thik ho jati h dekhne lagti h....Baad me jis insan se shadi krna chahti thi woh insan ka naam tha zubain khan.....zubain ko pata chalta h ki roshni ka baap is batware me india chala gaya h tab dono india ate h...apne baap ko khojne k liye ...pure 11 mahine tak khojte par nhi milta....
Jab akhri din tha pakiatan lotne ka tab Roshni ki khwayish thi ki amrutsar k golden temple jane ki.. q ki jab roshni apne baap k sath thi toh kyi bar waha par ate the ..par usse n dekhne k karan gurudwar ko dekh nhi payi thii..
Dono gurudwar se bahar niklte h tab ek bhikhari bhikh mang rha tha..uski halat bahut hi bigdi huyi thi ..jab roshni usse dekhti h toh bahut hi dukh hota ..uske pass jati tab usko dekhkar bhikhari bhikh magne ki takori ko ajib awaz me baja rha tha...usko sunte hi roshni ro padti h aur bhet padti h uss bhikhari ko...q ki wahi uska baap tha...
Yeh kahani baap beti k sangharsh ki h...joh jindgi ek dusre se alag hoti h aur judti h...
Tuesday, 5 August 2014
Sawan me sargam
Bund bund gir rha h sawan,
kone kone me sargam uthi,
n jane kya kah gayi kan me
patte khushi se jum uthe,
mor bhi sawan me mahak rha h,
dekhta hun agal bagal me,
sab masti me hai sawan me,
ek me hi hun joh betha hun kone me,
darta hun ki bhig n jao in sawan me,
q ki dil me itna ahesas daba h ki
Bund bund bhiga rha h,
kabhi koi muzhe saharta toh
shayad sawan ki barish saragam hoti......