Sunday, 29 June 2014

Mann

Apne mann ke ayine me zank.
Har insan ke andar pyar dikhe toh Ishu h.
Har insan ke andar Apnapan dikhe toh Allah h.
Har insan ke andar Imandari dikhe toh Guru nanak h.
Har insan ke andar Daya dikhe toh Mahaveer h.
Har insan ki andar tyag dikhe toh Buddh h.
Har insan ki andar Shama dikhe toh Shivaji h.
Bus mann ke andar ka Ayina me jank sab dikhega.
Pana toh sirf insaniyat h kyuki Sab ka malik ek.
Najar se pahchano toh khuda ko paonge.

Saturday, 28 June 2014

Kyu aaj

Kyu aaj asaman khoya sa lag rha h,
Kisi ki pyar ki tanhayi me jalta jiya sa lag rha h.
Kyu aaj girte sitare se bikhad rhi mala,
Apno ki ruswai me bichhad rhi ye ahat.
Kyu aaj ye kayamat si lag rhi h raat,
Har pal sath thi tab n paa saka aaj h dil me jo rok n saka.
Kyu aaj chanda ki roshani jalan si jok rhi h,
Husnama chahre par nafrat ki jwala bhadk rhi h.
Kyu aaj........
usko mehsus krne se dil gabhara rha h...

Vande matram

Vande matram,Vande matram,
Uski anchal ki khushboo ,
Uski pyar bhari nazre,
Deti hai ankho ko mithi aas.

Jannat se badhakar hai uski god,
Jisme milti hai duniya ke gumse azadi.
Par kya kru me---
Me wafa k naam par bewafa ban betha.
Jis god me sukun mila usi ko hi KOYLE se jalane chala.
Pahle toh paraye the abhi khudke hi lutne chale .
2G spectom ho yaa mehngai apni apni jeb ko garm rakhne ke liye Garibo ki chita jalane lage.
Fir bhi kahte hai....Vande matram vande matram...

Buzurgo ki amanat

Humare buzurgo ne dekha tha azad bharat ka sapna,
Kambhaqt woh apna ho na saka.
Char kadam chale hi nhi aur lalkhara diye gaye,
Chalna toh sukun se tha par apna rasta nhi tha..
Humare buzurgo ne........
Kurbanio ki awaz gunjti rhi in hawao me,
Woh hawa par hum sans na lesake.
Gandhi ,bhagat ki taswir rakhte hai apni zebb me,
Beimani ko bechate iman ki ahuti se.
Humare buzurgo ne dekha...

Koi dard de gaya

koi dard degaya
Bin bole gam ka khajana de gaya.
pyar toh ek tasvirse kiya tha,
n jane aaj us tasvir par kisne rang badldiya.
Anjani is tasvir ki fikrat karne chala.
Hotho par gum ki muskaan lekar,
husin sapno ki duniya me.
koi dard de gaya

Thursday, 26 June 2014

Ud jaa chidiya

Udd ja chidiya mere anghan se,
Tu zee nhi payengi aaj yahan,

Badal gayi h niyati aur nazar,
Bhul gaye h hindustan ki sabhayta aur sanskar,

Tu zine chali thi azadi ko
par teri azadi kisi ki mauz ho gayi h.
Pahle thik tha ki ghar ki diwal me kaid thi,
Fir aaj tu kaid ho ja.

Tu zee nhi payengi aaj yahan...

Thursday, 19 June 2014

Kisne kiya

kaisi hai yeh bhasha ,
kaisa hai vesh,
fir bhi rang lagta q ek?
shayad kisi kalakar ne iss tarah se
banayi hai kruti,
jaise dudh me sakar mil jaye,
jaise samundar me lahar sama jaye,

yeh kisne kiya aisa
joh anek rang me bhi
hai ek rang sabme...
shayad wahi rang hai....pyaar ka...yaa ahesas ka.....

Sunday, 15 June 2014

Awaz do

Awaz doo
Dil ki khubsurti se dekho ,
duniya ki khubsurat lagne lage gi.
Ankho ke noor me iman ka awaz lagao,
Har jagah imandari ki pahchan hogi.
Duniya ka bhi azib rang me rangi hai,
Isme mera rang kon sa hai -chhalkao.
khud ko khudi banao sara jahan khudai ho jayenga..
Apne Dil ki khubsurati ki awaz lagao...khubsurat jahan ko paonge

Mann

MANN
Fir guzre pal yaad aagaye,
sapno se bhari dastanme chala aya.
barish ki narm si hawame bhigta chala aya,
ankhome bhi yaado ki barish pita chala aya.
Hum bhi woh lamhe jii rahe the,
Jisko apna samazte the usiko hi bhulta aya.
Njane kyu aajtak dilke kone me,
kisiko mehsus karta chala aya.
Fir guzre pal ko yaad karta aya.
Saas aur dhadkan se jii raha hu,
Par dilka ayana aur ankho ka noor dhundhta chala aya me.

Saturday, 14 June 2014

Jine ki wajah

Raat ki khamoshi bhi
Hoke anjan hume sawal krti h,
Kya achha lagta h tumeh
Din ka ujala yaa main?

Mann mera yuhi bol pada,
Sawal ko ansuna krne laga...
Par....
Apne aap ko kaise ansuna kar pata?
Dil me awaz uthi aur bol padi..

Yeh raat ki khamoshi har jakhm bhola deti h,
Jaise maa ki ghod me sukun mile.
Par ..
      Yeh din ka ujala,
Jalata hai tanha tanha me,
Yaad dilata hai fir wahi jakhmo ko,
Jisse me dur jana chahta hun..
Ab darr sa hai din ka ujala...

Jine ki wajah ban gayi,
Yeh kali ganni raat ki khamoshi........

Saturday, 7 June 2014

Hum

Aaj raat khamosh h
Khamoshi me bhi
Thandi purvai kuchh kehti h?
MAIN aur TUM se HUM bane

Q ki itni dil chaspi h usme,
Aaj ek dujje me ahesas ki
H pyaas,
Bujti nhi pyas istarah se,
Milne de humeh aaj
Main aur Tum HUM bane.

Kiya intjar is raat ka barso se,
Aa gayi h ghadi aaj usi din ki,
Joh keh n saka tha main ,
Fir bhi chup nhi raha tha,
Istarah se gul milne de ki
Main aur Tum se Hum bane...